Friday, 30 September 2011

CHAND TERI CHANDANI KI KASAM

ye chand mujhe teri  chandani ki kasam
hmare paas bhi aek chand hai
wo bedag hai, tujh mai fir bhi to daag hai


kirno se bhari subah ho taron se bhari puri saam
jagun mai us savere , dil mai bas le tera naam
bavron si jhilmil chanchal tu
sanson ki bani jaan,sochun mai tumhe puri saam
ye chand mujhe teri chandani ki kasam


teri sanson si  behakti jhanjar ,
us mai khoya mera рдорди  ,
dil kho ya gya sabnam ki behakti sanson  mai
le bas tera naam 
ye chand mujhe teri chandani ki kasam

mere mehboob sanam dekh phulon ne bhi li 
bas tera naam keh di us ne bhi
darya ki gehrai,aasman ka nilapan
sanson ki tajgi ,dekh cha gya ye  dewanapan
ye chand mujhe teri chandani ki kasam................
                                                                        RANA INDRAJEET
              

Saturday, 24 September 2011

janiyaa


Tere dil ki sabab
Chandani  si ankhon ki ajibi teri
tere Jhumte balon ka lahera kar etrana
Dekhte ankhon ko bhi yaki na hota
Sabab sanson ki khool dun
Aek bar jo tu mujhe mur kar dekh le
Jindagi apni mai tujh par war dun

Dewana  ban gya mai tera
Socha aek din milegi tu mujhe
Ye soch kr aek bar kho  baitha tujh mai
 oo diljaniya

tadap tadap kar reh gya mai
bayan na kar paya apni awaz
kahun bhi kya mai tujhe
o meri jaan

tujhe soch kar rota gya
na jane meri nasibi kya hai
mil ja tu mujhe
fir ebadat kar saku mai apna
o janiyaaaaaaaa        

Friday, 23 September 2011

dar sa lgta hai

teri ankhon mai sirkat sa pyar najar aata hai,
dekhte rhe hum tumhe ye didar najar aata hai
dil dekh tumhe ruk jata hai 
ankhen jhuk si jaati hai 
na jane hame ye kya ho jata hai


dil ki baat btayein bhi to kaise
tumhe dekh hum ruk  se jate hai
ankhen nam si ho jati hai
kehne ko kuch na hota hai
tum se dar sa lgta ha
tum se dar sa lgta hai.....






Friday, 16 September 2011

yaad

   ghar se nikal kar
   raste mai hasi sa chehra najar aaya
  unki hasi ankhon ko bhane lagi
   roj dekhe hum unko 
  par samne jakr na kuch kehna hua


  unki yadon mai til til bhatkte rhe 
 sote ankhon se bhi na sona hua
hum kya kren ye hme na pata
akhir hame ye kya ho gye


ab to sapno mai bhi  wo aane lagi
dur hokar bhi mujhe stane lagi
na jane kyun wo mujhe bhane lagi........................RANA


unki yadon mai duba rahun

unke yadon mai hum dube rhe
soyi sanson mai hum khoye rhe
pehel dil ki ankhon mai aa gyi
unki ankhon se hum sote rhe


baris ki bundono mai unki ghata
es kadar lahrayi
jalim dil bhi sokar uthta raha


ye mri sason ki tmanna
dili asqi bhujne na de
hm chahte hai
unki yadon mai dube rahe....................

Monday, 12 September 2011

aankhen

  uski ankhen thi nirali
 jis mai duba rehta tha
chahat ban gyi wo meri 
fasana ban kar ubhra tha


di usne hme ek jindagi
rehne laga uski palkon mai
chandi ki hatheliyon mai
daal apna hath mai


dikh thi wo yowan se bhi pyari
ankhen dekh trasta tha
dil duba rehne ko krta tha


mile thae hum kitni muskil se
muskil dil na bhrta tha
pyar khudai kar ke wo
ankhon se machal  ti thi


dekhti thi wo choti si 
ankhen uski thi pyari
dil se ek dum bachi thi
soch se wo thi pyari......

Sunday, 11 September 2011

BARIS KI BUND


BADAL KI GHATA CHHA RAHI AASMANO  MAI
BARIS KI BUNDONO KO LATI HUI
DEKH MORNI UCHAL PADI
SORON KI AWAZON MAI


PATJHAR BITA SAWAN AAYA
AA GYI KHETON MAI HARYALI
YE DEKH KISAN SAB UTH BAITHE
KI AA GYE UNKE JIWAN KI KHUSHALI


JAG UTH BAITHA DEKH NIRALI
ES MAUSAM KA
PATJHAR KI RANGON KO BHIGA KAR BARIS
LA DI EK ANDHYARI
DEKH SAROVAR BHI JHUL UTHA
KEH AA GYI MERI YE NIRALI


BETE ANKHON KI PAWAN YE
RANGON KI HAI EK KHUSHALI
LUK LOK KISAN SAB UTH BAITHE
KEH AA GAYI  BARIS KI BUNDON KI HARYALI..........

                                            Bakery Boys
         (SHADES OF LIFE)
                         RANA INDRAJEET
This name  given by our HOD SIR....PROF. ARUNA BHAS BOSE
                DOST BANA BAKERY

 ghar se niklae hm 5 anjan chehra
jiwan mai le umenge josh or pyar
dil mai thi kuch krne ki chahat
kar na sake ham kuch khas yaar,
 mile hm char college ki sadkon pr
bani dosti hmri kuch aisi
milne lage ham bar bar
1 tha siddhu 2sra dilnawaz
3ja thae hm chautha tha subham ham sab ka yaar
luta tha kisine uska pyar
 hmri jindagi ghisi kuch aise
 collage ke paas ki bakery bni hm sb ka yaar
hmra wahan aana hua roj ke khel
bs chalti rhi hmri esi trh  ye rail
 aek din jindagi ne le krwat kuch aise
 teen ko hua pyar kisi se
 fr bhi na chuta bakery kisi se
thi hmri dosti bakery se kuch aise..............

                                             INTRODUCTORY PART OF BAKERY BOYS

1- bakery boy
Mai Rana Indrajeet
Ghar- pama ,saharsa jila (bihar)
 mujhe likhna bahut pasand hota hai
Meri collage ki surwaat hoti hai or mai apni life mai bahut kuch krna chahata hun par   collage  aakr kuch  or  hi hota hai hathon mai book ki jgh pura time labtop le facebook pr baitha rehna kisi trah apne time ko bitane ki kosis mai lgna rehna  mano hmari college life ki tbahi ho gyi ho
Aaj 2 may hai aaj mai apne papa or bhaiya ke sath college hostal mai rehne aaya hun mera kamra 103 hota hai mera room mate rachad aaga hota hai jis se meri mulakat 5 din baad hoti hai  usi din
2-bakery boy entry
Siddarth se meri mulakat hoti wo bhi hmare bagal wale room mai aata hai or fir meri us se baat hoti tab jake mujhe pata chlta hai ki wo bhi bihar ka darbhanga jila se hai hmare collge mai aaya hua wo akela ladka hota hai jo ki 90% se bhi jyada marks lekar aaya hai ham dono or hmare papa ham sbhi baatein krte hai or sath mai market ki traf niklte hai hostal ke kuch saman khridne hm dono kafi ache dost ban jate hai hmare papa fir hame chor kar hostal mai chle jate hai unhe kya pata tha ki hmare bete or hmne jo expectatn unse rakha hai uska yahan band bajne wala hai
FINALLY  collage ki surwaat hoti hai hmara collage ka pehla din icebreak session se suru hota hai jahan hmare collage ke prof. Khud ko introduce krte hai or hum sabhi ko apne 1 senior ke sath baithna hota hai or fir us senior ke sath jakar front mai jakar hmae khud ko introduce krna hota hai 
Uske baad collage ka function khatm hota hai hm logon ko cafeteria bheja jata hai or ham log wahan jakar  lunch krte hai or fir ground jakr ravan sita ka khel khela jata hai jis ke bare mai ham sb ko kuch ni pata ki aaakhir wo khel hai kya  fr bhi hmlog us khel ko khelte hai kisi trah uske baad ham sbko group mai divide kar diya jata hai or ham or siddarth alag alag group mai hote hai par akhri mai jakar koi group mai ni rehta hai n ham sab sath ho jate hai usi din siddhu ko hmare class ki aek ladki pasand aati hai, jiska naam akshaya hota hai wo uske sath kafi comedy krta hai or usko khub hsata hai kisi kisi trh ki mimicry krna uske karib jane ki puri kosis krta hai. en sab ke baad hame fir se hmre hostal la patka jata hai or ham sbhi thake hare apne bed dundte apne apne kamre mai hote hai
Collage ki padhai ki surwaat hoti hai ki usi din meri bagal wale seat par
3 .bakery boy  DILNAWAZ aakar baithta hai or  fir ja ke hmri us se baat hoti hai wo purnia ka hota hai par uska bachpan delhi mai gujrta hai hm dono mai aapas mai baatein hoti hai or hmdono apni batein share krte hai 1, 2 sre ke sath dilnawaz hmare sath hostal  mai ni  rehta hai wo hostal ke bahar kisi pg mai reh raha hota hai hmare hi collage ke 1 ladke ke sath  hmari dosti us se achi ho jati hai n 1 din hmlog plan krte hai n  fir pizzahut jate hai n hmlog apni batein krte hai apne ghar ki batein krte hai wo khud ke bare mai hum fir apne bare mai batate hai esi trh hmlog us din kafi masti krte hai jab hmlog aa rhe hote hai 1 ladki hame badi achi lgti hai n hm bolte hai yaar kya ladki hai n fir hmlog usko dekh kr jor se haste hai n wo ladki khud ko ajibo grib se dekhti hai se n fir hmlog usko dekhne lagte hai uski puri popat ho jati hai fir hmlog auto le kar wapas aa jate hai fir raat mai siddhu ke sath canteen gya wahan hum sare hostal frnds fir canteen mai masti krte hai n wahan college hostal ki ladki log aati hai n hmlog unko dekh khub hste hai n hmlog aapas mai unke name bhi  le lekar khub hste hai  bs es trh hmari collage life kat rhi hti hai  n 1 din fir  mai siddarth ke room jata hun wahan meri mulakaat 2 bande se hoti hai dono room mates hote hai
4th bakery boy Subham 5th bakery boy sachin  uttar pardesh bnaras ka hai jo ki wahan ki cricket team mai hota hai n 1 orissa ka hai jo ki college ki 1 ladki par mita rehta hai bt etni himat uske paas ni hoti hai ki wo  usko kbhi bol bhi sake .esi trah milte julte hum sab ki dosti ho jati hai or subham us ladki ko dekhne ko roj bakery par aane lgta hai uske sath hum sab bakery par aane lagte hai or uske baad bakery hmari college life ka 1 part ho jata hai jahan hum 5 ko aana hi tha wahan bakery ke paas 1 temple hota hai or uski siddi hmra baithne  ka jagh bas esi trh hmri life life aage badti rehti hai roj collage jana wahan se aana n evening ko bakery par milna uske collage ki sadko par chakr katna bas hmri life etni tak lagta hai simat kar reh jati  hai. 1 din hostal mai program banta hai drink krne ka jis mai sabhi drink krte hai  par sayad hmre kuch frnds ke liye wo bura din hota hai kisi baat ko lekar jagda ho jata hai n hmare HOD  sir aaa jate hai hostal sabhi piye rehte hai kafi hangama hota hai or hmare kuch frnds ko hostal se nikal diya jata hai .college ki hostal hmari masti time ka 1 part hota hai har Saturday hmlog hostal ke aandr  dance party hoti hai or es ka khamiyaja hmare bagal wale padosi ko bhugatna padta hai or hmari complain hoti hai collage mai hoti hai hmlog apne incharge se galiyan sunte hai par fir bhi hmlog badmasmiyan krne se baaj ni aate hai or hmra padosi complain krne se baaj ni aata.

Saturday, 10 September 2011

MAI NA JANU

aek ankhen hai sarabi si,
jisme dub gya hmara chehra
uski palkon ko dekh  
usme dub gya  hmara sehra


jahan bhi jaun meri ankhen usae dundti
 ye hai koi pehra
ya  mere dil pe ho gaya uske raaj ka sehra


mai na janu mai na janu
ye hai mera pehra,
ya le gaya koi mere dil ka sehra.....................









Thursday, 8 September 2011

BADLA ENSAN



YUN DEKH BADI HAI KITNI DHARTI
DIKHTA HAI NARANGI SAMAN
JATI PATI SAB LOK LUTERE
ES DHARTI KE BANE JIHAN


SOCH NA AAYI KISIKO,
PATJHAR BASANT KI EK GUNGAN
JISME DI THI USNE APNI PEHCHAN


PATJHAR NE KHOYI HARYALI,
BASANT KO BNAYA MAHAN
KYUN YE NA SOCH SKA ENSAN


KHO DI SABNE APNI PEHCHAN
LOK LUTERE LUT GYE SAB
YEH DEKH BHI KUCH NA KAR SKA ENSAN
KYUN BADAL GYA YE ENSAN.......................!!


Tuesday, 6 September 2011

CHILDHOOD LOVE


                                          
CHARACTER:-             RONIT  AND  SONALI
      
      
   ITS JUST A TRAILOR OF STORY

 DONO 1 HI SCHOOL MAI PADHTE THAE (ST JOHN)  RONIT KI ADMISSION HOTI HAI  STD-3,RONIT MAST KISM KA BNDA HOTA HAI SBKO HSANA TEACHER KI MIMICRY YE SAB USKI ADAT HOTI HAI USKE ACHE DIN BEET RHE HOTE HAI KI KUCH 2 MONTH BAAD SONALI KI ADMISSION HOTI HAI USI SCHOOL MAI OR USI CLASS MAI
SONALI STUDIES MAI INTERESTED HOTI HAI MEANS WO RONIT KI 1DM OPPOSITE HAI
CLASS CHLTA REHTA HAI AND SONALI BAHAR JATI HAI PERMISSION LEKAR KI USI TIME RONIT USKI NOTE BOOK CHIPA DETA HAI ,SONALI WAPAS AATI HAI N APNA NOTEBOOK NA DEKHKR RONE LGTI HAI N TEACHER FIR CLASS MAI SEARCH KRWATE HAI N NOTEBOOK RONIT KI DESK MAI MILTI HAI TEACHER USKO DAAT LGATE HAI N CLASS SE BAHAR NIKAL DETE HAI  N ESI TRH UNDONO KI AA PAS MAI DUSHMANI HO JATI HAI,HMESA CLASS MAI  RONIT USKO PADESAN KRTA REHTA HAI N SONALI USKO SUNAYA KRTI HAI,1 DIN RONIT NE SONALI KI BAG MAI BOMB DAAL DETA HAI N 1 RASHI SE USKO JORTA HAI HAI CLASS OVER  HTI HAI SBHI MSTI KR RHE HAI USI BICH MAI RONIT RASHI MAI AAG LGA DETA HAI N DHUAN DEKH SB TITR BITR HNE LGTE HAI USI TIME SONALI APNA BAG UTHA  NE JATI HAI KI BOMB PAHTA  HAI N SONALI KI HATH JAL JTI HAI BOMB KIS NE FODA YE KISI KO PATA NI CHLTA  HAI OR ES HADSE KI WAJH SE SONALI KO USKE GARDIAN SCHOOL SE NIKAL US SEHER SE DOOR KISI SCHOOL MAI ADMISSION KRW A DETE HAI RONI KE UPR US HADSE KA KAFI TNSN HO JATA HAI OR ESI BICH WO SONALI KO SOCHNE LGTA HAI N USKO PYAR HO JTI HAI WO N RONIT HMESA PDESAN REHNE LGTA HAI WO KRE BHI TO KYA SONALI USKI LIFE SE KHI DUR JA CHUKI HTI HAI
 UDHR SONALI KI LIFE BHI KHUB MAJE MAI KT RHI HTI HAI BT BECHARA RONIT SONALI KI YAAD MAI HI KHOYA REHNE LGTA HAI ESKO DEKH RONIT KE DAD USKO USKE NANIHAL BHEJTE HAI JAHAN USKA MAMA SCIENTIST HOTA HAI
  
SCIENTIST MAMA HMESA AKELE KMRE MAI BAND KISI FUTURE MACHINE KO BNANE MAI LGE REHTE HAI SB SE KAM  MILNA HMESA APNE PROJECT  PAR  LAGE  RHTE HAI BT WO RONIT KO THODA TIME DENA PASAND KRTE HAI KYUNKI  WAHAN  USKE ALWE UNKE PAAS KOI NA THA JIS SE WO BAAT KR SKTE  ..................
                         FRNDS U HAVE TO WAIT FOR MY BOOK TO KNOW 
                             WHAT HAPPEN TO RONIT AND SONALI
                                   THEY MEET IN FUTURE OR NOT

savere ki pehel

Naye savere ki ho gayi surwaat
khoya tha chanda kone ki door mai
khuli hwaon ki bhini si khusboo
kr gayi dur raton ki andheri,


suraj ke jagne ki ho gayi surwaat
ankhon ki micholi krti,  jag gayi chiryaan
ho gayi subah ke mehak ki surwaat,


khatm hua ab raat ka andhera,
ho gaya bachon ke sor ka savera
krne lage bache sor saraba,


dekh ho gyi subah ki surwaat
raton ka khona ,ankhon ka khulna
andhere ka MITNA suraj ka AANA..........


Sunday, 4 September 2011

dost bana bakery

 ghar se niklae hm 4 anjan chehra
jiwan mai le umenge josh or pyar
dil mai thi kuch krne ki chahat
kar na sake ham kuch khas yaar,
 mile hm char college ki sadkon pr
bani dosti hmri kuch aisi
milne lage ham bar bar
1 tha siddhu 2sra dilnawaz
3ja thae hm chautha tha subham hm sb ka yaar
luta tha kisine uska pyar
 hmri jindagi ghisi kuch aise
 collage ke paas ki bakery bni hm sb ka yaar
hmra wahan aana hua roj ke khel
bs chalti rhi hmri esi trh  ye rail
 aek din jindagi ne le krwat kuch aise
 teen ko hua pyar kisi se
 fr bhi na chuta bakery kisi se
thi hmri dosti bakery se kuch aise..............











 
   

bachpan

subeh ka sehra,chiryon ka chahchahana
mili us subeh hme aek paheli
paheli thi aek chanda ki door
chande mai chupa tha koi chitchor


keh di hme usne apni wo paheli
jo thi chande ki door ki saheli


           kagaz ki kasti 
            kinare ki pahel
           jis mai khoya hmara behel
             wo bachpan ki yadein
             wo pariyon ki kahani
            


sochi na thi chnda eski leher
khabon ki sirkt mai khoyi behel
   ye meri kahani , ye meri behel
   khoyi peheli  meri behel..................


    

dil ro diya


tujhe pa liya ya kho diya
es baat pr dil ro diya,
mili mohabbat ki saja 
or maine usae kho diya,

sanson si sulagti dhadkan ne 
tere sath hne ko keh diya ,
tujhe pa liya ya kho  diya
es  baat pr dil ro diya.....

jine ki chahat mili tujh se
fr v tujhe dekh 
mai kyun ro diya
tujhe pa kr v mai ye na keh ska
tujhe pa liya ya kho diya
es baat pr dil ro diya

wo mujhse milne aaya hai


yun dekh mujhe 
koi aaya hai 
yun pagal dil behlaya hai....

ye keh na ske fr v koi 
wo mere paas kyun aaya hai

mujhe kehta raha sawan ka mausam
wo tujh se milne aaya hai
mere paas aakr fr
usne mujhe bulaya hai

fr v mai ye keh na ska
wo mujh se milne kyun aaya hai

love season


shaam to roj aayega, raat mei dhal jaayega
aaj udaasi hai to kal khushi mei dhal jaayega
chahat ki baris mai yun bhigkr
mujhe kuch keh jyega.............

ankhon ki baten kuch aisi hgi
tri sanson mai koi bas jyega
tujhe soch kr jagta rha wo 
tri ankhon  mai 1dn  reh jyega......

pagal thi dhadkan uski 
dekh uski khudai 1dn tu bhi us mai beh jyegi
wo tujh se pyar krta hai 
1dn tu bhi us se pyar kr jyegi........

Zeher


mai hos mai tha to fir us pe mar gya kaise 
ye jeher mre lahu mai utr gya kaise
jise bhulaye kai saal ho gye 
wo mri najar mai fr utr gyi kaise

ye chand ki bedagi  ki jeher
jism mai mere kho gya kaise wo dil ki jami mai utr gya kaise
chahat ki na door thi fr v kyun bs gya aise
na chahta fr v kyun gujar gya uske ghr se

dili ki asqi rang kyun la gyi aise 
na chahta tha fr v kyun mar mita us pe
ankhon ki juwani mai keh gyi wo kuch aise 
dil na  chaha fr v kyun mar gya us pe

mai hos mai tha fr v wo lahu bnkr mre jism mai utr gya kaise